top of page
Search

Jadui Anguthi - Hindi Story

  • Writer: Ritika Sinha
    Ritika Sinha
  • Jan 7
  • 7 min read
Read this moral story of Mohan, how because of his honesty, he finds a ring, and uses it to become rich, while Seth of the village faces humiliation because of his greed.

Bahut samay pehle ki baat hai, Gokulpur naam ka ek chhota sa gaon tha. Us gaon me mohan naam ka ek gareeb kisan, apni patni sudha, aur apne bete raju ke sath rahta tha. Mohan ke pass ek chhoti si jameen thi, jisme woh sabjiyan ugaya karta tha. Mohan roj subah sabji ki tokra le ke bajar ki taraf jaata tha. Bajar me sabji bechkar usse jitne bhi rupay milte usse ghar ka jaruri saman khareed kar, ghar wapas aa jaata, yahi uski dincharya thi. Isi tarah se din beet rahe they.


जादुई अंगूठी हिंदी कहानी | Jadui Anguthi | Hindi Kahaniyan | Moral Stories | Cartoon Story


Ek din mohan ki patni sudha, mohan se kehti hai ki:


Sudha: Suno ji, kyun na hum raju ka dakhila, kisi achche school me kara dein?


Mohan: Arey bhagyawan, humare pass itne paise toh hain nahin, ki hum raju ka dakhila, kisi ache school me kara sakein!!


Sudha: Aap kisi tarah paise ka intejaam karo, nahin toh humare bete ko bhi humari tarah majdoori karni padegi, aur uska jeevan bhi humari tarah, gareebi me vyateet hoga.


Mohan: Tum thik hi kah rahi ho, main apne bete ko khoob padhaunga likhaunga, taki uska jeevan, humari tarah gareebi me na kate, main kal hi seth ke ghar jaunga, aur usse paise udhaar mangunga.





Agle din subah, Mohan paise maangne ke liye, seth ke ghar jaata hai.


Mohan: Seth ji, main aapse kuch paise ki umeed le ke aapke pass aaya hun. Aap mujhe kuch rupay udhaar de dijiye, main apne bete ka dakhila kisi ache school mein karana chahta hun.


Seth: Paise toh main tujhe de dun, par tu chukayega kaise? Aisa kar tu apni jameen mere pass girvi rakh de, tab main tujhe paise dunga.


Mohan: Seth ji, yah aap kya kah rahe ho? Wah meri purkhon ki jameen hai. Aur agar maine jameen girvi rakh di toh main apne parivar ka palan poshan kaise karunga? Humare ghar ki roji roti usi jameen se chalti hai.


Seth: Toh phir chala jaa wahan se, pata nahin kahan kahan se aa jaate hain!


Mohan dukhi ho kar wahan se chala jaata hai.



Ek din shaam ko mohan jab sabji bech kar ghar wapas aa raha tha toh, usse raaste mein ek chamkti hui vastu dikhayi di.


Mohan: Arey yeh kya lagta hai kisi ki anguthi gir gayi hai!


Mohan anguthi lekar ghar aa jaata hai.


Mohan: Yah dekho bhagyawan, aaj mujhe kya mila!


Sudha: Arey wah, yeh anguthi toh bahut mulyawan lag rahi hai! Yeh tumhe kahan se mili?


Mohan: Aaj main jab sabji bechkar ghar wapas aa raha tha, toh mujhe yah jungle ke raste me mili.


Sudha: Arey wah, humare toh bhagya hi khul gaye ji, hum kal hi is anguthi ko bajar me bech denge, isse hume bahut saare rupay milenge, isse hum apni gareebi bhi dur kar lenge, aur apne bete ka dakhila bhi kisi ache school me kara lenge.


Mohan: Yeh kya kah rhi ho tum? Yeh anguthi humari nahin hai, yeh anguthi jiski bhi hai, wah iske liye bahut pareshan ho raha hoga. Agar woh vyakti mujhe mil jaaye, toh main yeh anguthi usse jaroor wapas kar dunga.





Agle din mohan jab jungle ke raaste ghar wapas aa raha tha, toh usse ek babaji mile. Mohan ke pass jo anguthi thi, woh babaji ki thi. Babaji ek bahut si siddh yogi they, babaji sochte hain ki chalo dekhte hain ki yeh kisan unhe swayam yeh anguthi wapas deta hai ya nahin?


Babaji: Kya baat hai beta? Bahut udaas lag rahe ho.


Mohan unhe apni sari kahani sunata hai.


Babaji: Tumhari samasya toh bahut gambheer lagti hai, agar tumhare pass jewar, athwa sone chandi ki vastu ho toh usse girvi kyun nahi rakh dete?


Mohan: Babaji main toh ek gareeb aadmi hun, mere pass sone chandi ki vastu kahan se aayegi? Haan, kal jab main is jungle se gujar raha tha tab mujhe yahan ek sone ki anguthi mili thi, main uske malik ko dhund raha hun, agar woh mujhe mil jaaye, toh main usse woh anguthi jarur wapas karunga.





Mohan babaji ko wah anguthi dikhata hai.


Babaji: Tumhe paison ki itni jarurat hai, tab bhi tum yeh bhagyawash mili anguthi kyun wapas karna chahte ho?


Mohan: Main gareeb awaashya hun, par mera man kisi dusre ki wastu ka prayog karne ko nahin maanta. Aakhir ise le lena chori hi toh kahlayegi na babaji. Agar aapko iske malik ka pata chale, toh bataiyega jarur, main yeh anguthi usse lauta dunga.


Babaji: Mohan beta, yeh anguthi meri hi hai! kal jab main yahan vishram kar raha tha, tab yeh anguthi yahin gir gayi thi. Main tumhari imandari aur saralta se bahut prasann hua, ab yah anguthi ab tum hi rakh lo. Yeh ek jaduyi anguthi hai, agar yeh kisi imandaar vyakti ke pass rahti hai toh usse bahut dhan arjit karke deti hai. Aur haan, is anguthi ke baare me kisi ko batana mat.



Agle din mohan jab khet pe gaya toh usne dekha har din ki apeksha aaj zaada sabjiyan lagi hui thi.


Mohan: Arey yeh kya! aaj to hzaada sabjiyan lagi hui hain, lagta hai yeh sab babaji ki anguthi ka kamal hai.


Mohan dher sari sabjiyan le kar unhe bechne ke liye bajaar me jaata hai. Aaj sabjiyan jaldi bik gayin, aur unke ache daam bhi mile.


Ab mohan ko har din zaada sabjiyan miltin, aur bajar me uske ache daam bhi milte. Dheere dheere mohan ke pass, kafi rupaye jama ho gaye. Usne apne bete ka dakhila ek ache school me kara diya. Mohan ne apne liye aur jameen khareed li, ab wah sabjiyon aur phalon ka ek bada vyapari ban gaya tha. Usne apne liye ek acha sa ghar bhi khareed liya, aur apne parivar ke sath khushi khushi usme rahne laga.



Mohan ki tarakki ki baat, pure gaon me fail gayi. Jab yeh baat seth ko pata chali toh usse mohan se jalan hone lagi, aur sath hi usse bahut ashcharya bhi hua.


Seth: Arey mohan abhi toh mere pass paise maangne ke liye aaya tha, uske pass itni jaldi itne rupaye kaise aa gaye?


Seth mohan ke ghar jaata hai. Wah chup kar mohan aur sudha ki baatein sunta hai.


Sudha: Raju ke papa, pure gaon bhar me aajkal humari hi baatein hoti hai, aapko mujhe batana hi padega, aakhi yeh sab chamatkar kaise ho raha hai?


Mohan: Are bhagyawan! yeh sab humari mehnat ka parinam hai, isme kuch bhi chamatkar nahin hai


Sudha: Mehnat toh hum pehle bhi karte they, par tab toh hume bhar pet khana bhi naseeb nahi hota tha. Aapko meri kasam hai, aap sach sach bataiye.


Mohan ghar ki almaari kholta hai aur usme rakhi jaduyi anguthi nikal kar sudha ko dikhata hai.


Mohan: Dekho Sudha, humare sath jo bhi achi cheezein ho rahi hain, woh sab is anguthi ka kamal hai.


Sudha: Arey ji, yah toh wahi anguthi hai jo aapko jungle ke raaste me mili thi.


Mohan: Haan yah wahi anguthi hai.


Sudha: Parantu aapne toh kaha tha yah anguthi jiski bhi hai, aap usse wapas kar denge!


Mohan: Haan bhagyawan, maine aisa hi kaha tha, yeh anghuthi hai ek babaji ki thi. jab maine yeh anguthi unko wapas lautayi, toh wah meri imandaari se bahut prasann hue, aur unhone kaha ki yah anguthi ab tum hi rakh lo. Yeh ek jaduyi anguthi hai.


Seth Sudha aur Mohan hi saari baatein sun leta hai.

Seth: Hmm, wahi main sochun, mohan itni jaldi itna ameer kaise ban gaya. Aisi anguthi toh mere pass honi chahiye thi.

Seth raat ko anguthi churane ke liye mohan ke pass jaata hai. Phir wah chupke se anguthi chura lega hai.





Seth anguthi le kar ghar aata hai aur apni patni ko dikhata hai.


Seth ki patni: Yeh anuthi toh bahut anokhi lag rahi hai, aur keemti bhi, yeh tum kahan se le kar aaye?


Seth: Arey bhagyawan, yeh samajh lo ki yeh anguthi humare saubhagya ki chabhi hai, ab dekhna main kaise din doguni aur raat chauguni tarakki karta hun, tum bas isse sambhal ke rakh do.



Agle hi din seth ko vyapar me bada nuksan ho jaata hai.

Seth: Haay! main toh lut gaya, barbaad ho gaya, pata nahi subah subah kiska muh dekh liya tha.


Tabhi seth ki patni wahan aa jaati hai.


Seth ki patni: Mujhe naukar ne bataya, ki tumhe vyapar me bhari nuksan ho gaya hai.


Seth: Arey haan bhagyawan! mujhe bahut zaada niksan ho gaya hai, ab koi bhi mera maal nahin khareedna chahta hai.


Seth ki patni: Kal toh tum kah rahe they, ki woh anguthi humare saubhagya ki chabhi hai. Kal hi woh anguthi lekar aaye aur aaj tume vyapar me itna bada nuksan ho gaya. Mujhe toh lagta hai ki woh anguthi hi manhus hai. Tum usse jahan se bhi lekar aaye ho, wapas kar do.


Seth: Tum thik hi kahti ho, main aaj hi wah anguthi lauta dunga.



Seth mohan ki anguthi lautane ke liye uske ghar jaata hai.


Seth: Mohan mujhe maaf kar do, main laalachwash andha ho gaya tha, aur tumhare ghar se yeh anguthi chura li, ab main yah anguthi tumhe wapas karne aaya hun.


Mohan: Koi baat nahin seth ji, kabhi kabhi hum lalachwash aisi galti kar dete hain.


Seth mohan ki anguthi usse wapas kar deta hai.


Seth: Mohan ek baat batao, yeh anguthi kya sach me ek jaduyi anguthi hai?


Mohan: Haan seth ji, yeh ek sach me jaduyi anguthi hai.


Seth: Parantu yeh anguthi mere liye kyun nahin kaam ki? Ulte mere vyapar me nuksan bhi ho gaya.


Mohan: Seth ji, yeh anguthi sirf uske liye hi kaam karti hai, jo imaandaar aur sachcha ho. Jhuthe aur makkar logon ke liye yeh kis shaap se kam nahin hai.


Itna sunte hi seth ka chehra utar jaata hai aur wah bahut lajjit hota hai, woh chup chap muh latka kar wahan se chala jaata hai.

Liked the story? Watch it on youtube, and like, share and subscribe. Leave a comment here or on youtube!


जादुई अंगूठी हिंदी कहानी | Jadui Anguthi | Hindi Kahaniyan | Moral Stories | Cartoon Story








 
 
 

Comments


Never Miss a Post. Subscribe Now!

Thanks for submitting!

bottom of page